Sunday, January 13, 2008

Jaane kaun dagar

Sabdo se kaho ki jara saath to chalo kuch der…Gujar hei rahee thee kei laga mano kisi nei kaha…”Ho kei gujar jati ho roj yaha sei, kabhi paas aakar baitho to. sabse kehti ho, sabke sunatei ho…aaj merai paas bhee thode der baith jao. Tumsi itne alag to nahi ho mai, kuch pal ruk phir chale jana.”

Maine apna raasta badla aur chal de jaha maan ne chaha. Kuch uchai per jaakar laga kei bash baith jao ab wahi per, so us bade ped sei sad kar baith gayee mai. Tabhi kisi vichar nei dastak dei, mai suchani hei waali thee kei laga saakhao ne kaha mujh se kei ab chup karo, dur hatao ye vichar…kuch pal meri paas sirf aaram karo. Itnai hak se bolei wo kei maine sar tikaya use pedh per aur aankhee mond lee. Dophar kab nikal gayee pata hei nahin chala. Aankhee khul ab khade honai ko uthee mai. Najaree ek pal them gayee uskee shakhao per.

Mai dekh hei rahee thee kei na jaane kaha sei ek aanso aaya aur chalak gaya. Aankho kei saamane laga aaj phir wahin kal khada ho….Us deen maa bhee ye kehti thee kei bees saal sei dekh rahee ho kei ye kar lo maa phir aaram sei baitho…kei wo ho jaaye maa to bash…ab tak tumharee ye aur wo khatam nahin huai. Bohut ho gaya bhagana dhuadana ab aaram sei baitho…thak jaaogee warna. Kal jo hoga wo kal dekha jaayega tum aaj khush raho. Ghar aaye ho to kuch deen aaram karo…..dur karo en kitabo vicharo ko kuch deen….Haan us deen bhee sar maine chup chap maa kei god mai rakh deya. Laga mano kei bash waqt wahin rok jaaye ….na maan dhole..na vichara takarai…Aaj phir laga un shakhao nei mujh sei wahin kaha….shayad aaj phir wo boondh aansho kei ek rishta naya jodh chalee. ……Samete apnai pal..phir chal padee mai apne dagar…

Jaane kaun safar….Jaane kaun dagar. - S. V.

No comments: