Friday, March 7, 2008
zindagi
Khankhanatee see ye zindagi, na jaane kaya kaya de jaate hai....kabhi mushkurhat hotho per chod jaate hai to kabhi palako per aanso saja jaate hai....kabhi bhuli yaadon ko samet laate hai....kabhi meri khuli aankho ko bhee sapnee de jaate hai....anaiko rup ye dhar atee hai........
an-kahee palo mei ye gungunatee hain....
suraj per aakhe mai tekao...to narangee chadar ud ye kheal jaate hai....
chand se jab raato ko milte ho....to dabee pao aate hai aur chadani ban charo aur bekhar jaate hai....
mai phulo kei rango ko nihartee ho...to ye khusbo ban saath chalee aate hai....
mai haryali dekh kahee ruk jaate ho...to ye panchi ban paas aa chachaatee hai....
mai sagar ko dekh uskee visalata mai jab kho jaate ho......to ye lahar ban mujhee cho jaate hai.....
mai duniya ko soch kabhi dukhi ho jaate ho.....to ye ek bachee kei mushkurahat ban meri samane aa jaate hai....
khud ko akela kabhi mai paate ho....to leyee pyar kei ye khusbo chale aate hai....aisa nahin kei akelepan sei mai ghabara jaate ho....per zindagi mujhee kuch pal saath jena sekha jaate hai......phir aankho mei nami chod jaate hai......paas meri aa baith kuch aanso wo bhee bahatee hai..... khamosh mai phir baithatee ho...to nazaree mujh per tika wo bhee merai saath khamosi jeete hai.......mauka paa phir se mera haath thamatee hai....le chaltee hai mujhee phir se jeene ke raha per...
na jaane zindagi mujhee jeete hai......ya zindagi ko mai jeete ho....
palat kar phir wo boltee hai....tujhse juda to nahin mai.....teri hei to judwa ho.....
har pal ek naya rup dhartee hai....har pal mujhee honee ka ehsas dilatee hai.....
mai sochani lagtee ho...zindagi mera haath thaame chalte hai....ya meri unglee pakadee huaie hai kaske uskee aachal ko....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment